Saturday, 8 July 2023

 Kam

Tumhara kam hi zyada hoga

Mujhe kya pata tha


5 rupay ka maggi ka packet, mehenge cafe ke pasta aur coffe se zyada hoga

Mujhe kya pata tha


Ikatthi kar ke rakhi huyi malai duniya ke sabse behatreen butter se behtar hogi

Mujhe kya pata tha


2 rupay ke chane jor ka maza kisi michelin star chef ki savoury se upar hoga 

Mujhe kya pata tha


Budhiya ka baal ab ke mehenge cotton candy se lazzatdar hoga

Mujhe kya pata tha


Tumhari doodh mein bheegi bread, breakfast buffet ke spread se lazeez hogi

Mujhe kya pata tha


Tumhare haath se niwaala khilana

Kisi mehnge flat mein baith kar khane se bhi zyada qeemti hoga

Mujhe kya pata tha


Tumhara kulfi wale ko ghar pe bula kar jalti dopahar mein kulfi khilana

Ultimate luxury hoga

Mujhe kya pata tha


Vo chhat pe paani chidhak ke taaron ko dekhte huye sona

AC vale 5 star room se behtar hoga

Mujhe kya pata tha


Vo eid pe saal mein ek baar nayi dress banane ka intezaar

Poora saal jab chaho tab kapde khareedne se behtar hoga 

Mujhe kya pata tha


Jahan se daudh shuru ki thi vahi manzil ka pata hoga 

Mujhe kya pata tha


Bohot ghuroor tha mujhe apni samajhdari pe

Maa ban ke hi maa ki azmat jaan paungi

Mujhe kya pata tha

Thursday, 6 July 2023

 Baap

Vo kehte hain main tujh jaisi hoon

Ghalat, main Tu hi hoon

Main teri baat nahi karti, meri baat hi tu hai

 

Tuney mujhe azaad nahi kiya, meri har bandish mein tu hai

Tune mujhe jeetna nahi sikhaya, meri har haar ki ladhai mein tu hai

 

Tune mujhe udhna nahi sikhaya, meri har girne ki jadd-o-jehad mein tu hai

Tu mera haafiz nahi, mere andar jo dhaal hai vo tu hai

 

Tuney har waqt mera saath nahi diya

Mere andar jo akele ladhne ka, jeetne ka hausla hai vo tu hai

 

Tuney mujhe sirf dahadhna nahi sikhaya

Meri chaal meri dhaal mere thehraav ke peeche jo mere panjon ki dhaar hai vo tu hai

 

Tu mere andar baitha mera hafiz, mera rehnuma, meri panaah, mera saaya, mera rasta, mera hausla, mera ghuroor, mera rutba, meri taaqat, mera sab kuch tu hai....

 Naya Saal 


Chalo ek naya bahana chuntey hain...

Saal toh naya hai ek naya zamana chuntey hain..

 

Maan lete hain khalish, shikayatein, nafratein, is saal patakhon ke saath diwali, eid, naye saal mein jal gayin...

Ek sukoon aur mohabbat bhara aashiyana buntey hain..

Saal toh naya hai naya zamana chuntey hain...

 

Vo jo gubbarey khareedne ki zid karta hai...

 vo jo tum bahar khate ho toh tumsey khana maangta hai...

vo jo bin kahey tumhari gaadi saaf karta hai...

vo jo kachrey se khaana chunta hai...

vo jo sardi mein phatey sweater mein thitoorta hai...

vo jo apne din bhar ke kamaye sikkey baar baar ginta hai...

Chalo uske liye ek ghubbara...kuch khana..ek gaadi...ek sweater buntey hain..

Saal toh naya hai naya zamana chuntey hain..

 

Haan naraaz hoon main ki ab main cheekh cheekh kar nahi bataungi ki main kisi insaan kisi mazhab kisi firqey se naraaz nahi hoon...

Main har us awaaz ke khilaaf hoon jo taraqqi ki jagah apney fayede ke liye ye sab hathiyar humein ladhane..behkaane ke liye chuntey hain...

Saal toh naya hai naya zamana chuntey hain...

 

Sun lo phir se vo jinhoney baanta tha mere vajood ko pichli baar bhi...

Abhi unkey gunaah ko hi bhugat rahi hain pushtein....

Ye kaun hai jo phir se lahoolohan sadkon ka nazara chuntey hain...

Saal toh naya hai naya zamana chuntey hain...

 

Kuch jugnu...kuch khushiyan...kuch mohabbatein...kuch sabr...kuch mitti ki khushboo...kuch diwali ki diyon ki roshni...kuch eid ki sivayyian...kuch christmas ke cake...kuch navroz ke pakvaan...kuch gurbani ke mantr...ye sab viraasat mein ho...isko paaney ki daudh ho...

Ek aasmaan..ek zameen...ek samandar aur ek hindostan purana chuntey hain..

Chalo ek naya bahana chuntey hain..

Saal toh naya hai naya zamana chuntey hain..

Saal toh naya hai naya zamana chuntey hain...


Friday, 19 October 2018

Mutthi..

Jugnu chupaya tha usney mutthi mein.....roshni ka pata poochta tha...

vo shakhs nadaan bahut tha...Ya fir meri hoshiyari ka nishaan dhoondhta tha...

Uskey sawaalon mein band chand azmayeshein thin shayad....isiliye toh mere jawaabon mein vo apna vajood dhoondhta tha..

Uljhana uski fitrat si lagey hai mujhe...ya zindagi uljha gayi hai usey tabhi sulajhne ka sila poochta tha.....

Ek din bekhauf si hawa thi..vo mutthi kholne pe majboor tha .......Roshni,hoshiyari,jawaab,raaste sab qaid usi mein the...tab samjha vo bevajah baraha mujhse sabka pata poochta tha.......

Monday, 10 September 2018

SAWAAAAAA...L

Chaand aaj fir vahin tha
Uskey taakney ka andaaz vahi tha

Un nigaahon mein aaj bhi sawaal vahi tha
Zameen ka ankaha jawaab vahi tha..

Gawaah toh khud vahi tha..

Ab Fir zameen pe utarney ka shayad irada uska nahi tha..
Darta hai voh..
Uski chandni ki chaundh mein fir na kho jaye vo ehsaas...
Jo zameen ke paas rehne pe pehle usey nahi tha...

Ab door hai toh fir jaaga hai..

Shayad ab usey zameen ki paaki ka ehsaas hua..
Jo usey zameen ke paas aaney pe nahi tha..

Toh ab kya...

"Shubah" toh hissa hai uski hasti ka..
Umr bhar gardish karega zameen ki... Sazaaa hai ya qubool hui dua...

Faisla toh kar Iiya usney...lekin ye maloom toh usey khud bhi nahi tha.. 

Sunday, 22 July 2018

Khushgawar

Zindagi kuch khushgawaar si hui hai hai is dafaa.. Poori qaynaat meherbaan si hui hai is dafaa..

Yun toh girjati hai boond seep mein..
Jab vo intezar karti hai sadiyon tak..
Jo ek boond ne khud dhoondha seep ke wajood ko... Toh Seep bhi kuch shukraguzaar si hui hai is dafaa.. Zindagi kuch khushgawaar si hui hai is dafaa..

Sadiyon tak jab maangi dua ..qubool ho.. toh kya baat ho...
Par ek bemaangi dua..ek masoom bacchi ke paas pohonchi hai is dafaa..
Zindagi kuch khushgawaar si hui hai is dafaa

Dariya toh har baar behti hai samundar se milney ko..
 Jo is baar ek samundar ki leher milney khud aayi ussey.. toh dariya ki bhi aankh nam hui hai is dafaa..
Zindagi kuch khushgawaar si hui hai is dafaa..

Yun toh aasmaan sada ooncha hai zameen ke saamney bohot.
Par jo vo jhuka zameen ko chumney ko..
Toh aasmaan ki bhi khoobsoorat si haar hui hai is dafaa..
Zindagi kuch khushgawaar si hui hai is dafaa..

Yun toh har baar hi seham ke dhoondhti hain vo nanhi ungliyaan us wajood ko..
Jo bevajah aa kar thaam Iiya un haathon ne..
Toh vo ungliyaaan ..fir dua maangney ki haqdaar si hui hain is dafaa..
Zindagi kuch khushgawaar si hui hai is dafaa

 Kam Tumhara kam hi zyada hoga Mujhe kya pata tha 5 rupay ka maggi ka packet, mehenge cafe ke pasta aur coffe se zyada hoga Mujhe kya pata t...